Caller Tune & VAS Unsubscribe Codes โ Pakistan
Balance khud-ba-khud kat raha hai? Aam wajah koi caller tune ya paid VAS service active hona hai. Neeche pehle har network ka master code hai โ ek hi code se tamam active services dekho aur band karo โ phir har network ke alag page par har service ka apna unsubscribe tareeka.
Master Codes โ Tamam Services Ek Sath Band Karo
| Jazz | Dial *6611# |
| Zong | Dial *6611# |
| Telenor | Dial *4444# |
| Ufone | Dial *6869# |
Network Ke Hisab Se Unsubscribe Codes
Frequently Asked Questions
VAS service kya hoti hai?
VAS (Value Added Services) wo paid izafi services hain jo call/SMS ke ilawa hoti hain โ caller tunes, missed call alerts, caller name, status services waghera. Ye rozana ya haftawar charges kaat-ti hain.
Sab se asan tareeka konsa hai tamam services band karne ka?
Har network ka ek master code hai (PTA ki hidayat par) jis se apne number ki TAMAM active paid services nazar aa jati hain aur wahin se band ho jati hain: Jazz *6611#, Zong *6611#, Telenor *4444#, Ufone *6869#.
Onic ke unsubscribe codes kyun nahi hain?
Onic ek digital brand hai โ us ke paas caller tune ya classic VAS services hain hi nahi. Onic ke tamam plans aur subscriptions sirf Onic app se manage hote hain.